Saturday, April 29, 2006

Kabhi lagta hai

Kabhi lagta hai,
Tum theher gaye ho,
ruk gaye ho.
Ya shaayad
Duniya aage chal padi hai,
daud padi hai.
Kya sach, kya jhooth
Tumhein yun kuredti,
Aisi woh nishthur ghadi hai.

Kabhi lagta hai
Rahon mein kaheen,
Meet tumhein chhod gaye.
Ya shaayad
Tum hi kahin,
unhein chhod aaye
Ab sab tanha hai.
Hazaaron sawaal poochta,
Aisa woh ziddi lamha hai.

Kabhi lagta hai
Hawa ne rukh badla,
Is liye mushkilein aayeen.
Ya shaayad
Disha tum hi ne badli,
Anischit tumhaara hi mann tha.
Galat tum the yeh hawaayein,
Is kashmakash mein tumhein dubota
Aisa woh nirdayi kshan hai.

Kabhi lagta hai,
Zindagi tumhaare saath
khel rahi hai.
Ya shaayad
Tumhi ne zindagi ke saath
Kiya chhal hai.
Kya is prashna ka uttar milega,
Yeh poochta, mujhe ghoorta
Aisa woh ajeeb pal hai.

(Hope to put it up in Devnagri :) )

2 Comments:

Blogger SEV said...

Classy.. You showed me the initial draft of this, I think..

Saturday, April 29, 2006 9:32:00 AM  
Anonymous Anonymous said...

A few more years and u will b thinking more and more on these lines !

Tuesday, September 19, 2006 9:15:00 PM  

Post a Comment

<< Home


Free Hit Counter